Thursday, October 2, 2008

ऐसा भी एक दीप जले : Kindle a Lamp

बहें बयारें शान्ति ज्ञान की,
अन्धकार सब छंट जाए
फट जाय तिमिर की काली चादर,
जग प्रकाशमय हो जाए
मलयानिल से आए सुरभित सुगंध,
सौरभ जग में छा जाए
छलके स्नेह अमिय की गागर,
डगर प्यार की आ जाए

AISA BHI EK DEEP JALE

Bahein bayaarein shaanti gyaan ki,
Andhkaar sab chhant jaye.
Phat jaay timir ki kali chaadar,
Jag prakashmay ho jaye.
Malyanil se aaye surbhit sugandha,
Saurabh jaga mein chhaa jaye.
Chhalake sneh amiy ki gaagar,
Dagar pyaar ki aa jaye.

MEANINGS:
Bahein =blow; bayaarein = air; shaanti= peace; gyaan= knowledge; andhakaar=darkness; chhant=dispel; phat=torn; timir= darkness; kaali=black =chaadar=sheet; jag=world; prakaashmay =full of light; malayanil= air blowing from mountain malay; surbhit sugandh =smell full of fragrance; saurabh= polygrains of flowers; chha jaaye= spread; chhalake= spill or overthrow, running over of a liquid from a pot, an overthrow of a liquid in a pot; sneh= love, affection; amiya= nector; gaagar=pitcher; dagar= path, road; pyaar=love.

No comments: